Home Dish Green leaf veg mix sabzi with maithi

Green leaf veg mix sabzi with maithi

Introduce

Chef :

syedas kitchan

Green leaf veg mix sabzi with maithi

#joy mujhay new topic ka pata nahi tha me nay Kal hi khana khatay waqt mobile utha kiya to Samnay hi green leaf veg new task tha or Mein nay ittafaq say banai thi mix sabzi with maithi to Jo plate thi wohi bachi thi sub kha chukay thay bus kiya tha mere andar ki chupi photography jati ek mint Mein pic laili plate set kar ke 😜😜 uff cookpad ki khatir kiya kiya ni karna padhta hai bus post karna hai har haal Mein love you cook pad and sarosh sisso

Ingredient

Food ration :

8 servings

Cooking time :

1 hour
1/2 kg

maithi

1 bowl

mattar

1 bowl

gajjar

1/2 kg

potato

1 tbsp

haldi

4 tbsp

dahi

2 tbsp

zeera

Cooking instructions

* Step 1

Sub say pehlay sarson ka tail garam kijiA us ko jala lijia roti daal ke ta ke tail ki heak smell khatam ho jay tab roti ka piece Hal jay to nikaal ke us Mein zeera sabit lal mirch lehsan paste daal ke bhon lijia phir green timatar kuti lal mirch haldi namak or Green chilli daal ke bhon lijia

* Step 2

Jub masala bhon jay to dahi bhi daal ke thoda bhon lijia or sub say pehlay alu daal ke bhon lijia jab thoday bhon jay to mattar or gajar bhi add kar lijia or methi bareek kaat ke achi tarha Pani nikal lijia or channi say chan ke add kar dijia sabzi Mein apki Marzi hai ke app maithi bareek Kati pasand kartay hai ya thodi moti Mein bareek chopped kar ke dalti hon

* Step 3

Maithi daal ke pehlay check kijiA ke jitna Pani chota hai sabzi ka us hisaab say Pani add kijiA ta ke alu gal jay q ke gajar matar jaldi gal jatay hai me 2 glass baray add kiya tha Pani usi mein alu or sabzi gal gai thi jab gal jay to Pani khushk kar ke tail aney Tak bhon lijia or serve kijiA mazeedaar maithi wali mix sabzi ready

Note: if there is a photo you can click to enlarge it

10 Pieces Of Expert Nutrition Advice

1. Start Small

2. Fill Your Plate With Beans and Leafy Greens

3. Focus on Adding—Not Subtracting

4. Taste the Rainbow

5. Prioritize Potassium

6. Eat More Plants

7. Focus on Your Immune System

8. Try the Mediterranean Diet

9. Understand the Impact of Food

10. Guard Your Gut

See more
🇻🇳 Việt Nam 🇺🇸 USA

Copyright © 2024 Cookcic