Home Dish Beef shami kabab

Beef shami kabab

Introduce

Chef :

Naila Asif

Beef shami kabab

#motivationalpost #ambassador Shami kabab bnanay main bht puraini yadain juri hain .ye unn dinon ki bat hai jab mujhay cooking karny ka bht shoq hota tha Mera abbu ki family hamaray ghar 3,4 din ke liye rehnay I. Main tab10, 11,sall ki thi. Do din ammi ny koob khatir twazay ki tesray din abbu ke dost ki wife and unn ki beti jo mujh sy bht bari thi jawan thi keny lagi aaj hum shami kabab banayin gy. Jis Recipe sy unhon ny shami kabab banaye aaj take main ussi Recipe sy bnati hon kabhi thora change karti hon unn aunty and unn ki beti ki shaklain to mujhay yaad nahi par shami kabab aaj take yaad hain 😜😊😋

Ingredient

Food ration :

7,sy 8,people

Cooking time :

taqreeban 2,hrs
1 tbsp

namak

1 tsp

haldi

1 tbsp

zeera

1 tbsp

imli

Cooking instructions

* Step 1

Sab sy pehlay gosht main chany ki daal..hara dhaniya,pissa garam masala, piyaz chor kar saray ingredients gosht main dal dain.
Image step 1

* Step 2

Agar imli nahi hai to 1, tamater gosht main dal dena and halki aanch par paknay rakh dain.

* Step 3

Jab gosht dal sab gal jaye to uss main sy laal sabut mirch and green chilli, and adrak lehsan nikal lain.

* Step 4

Laal sabut mirch and green chilli kondi danday sy achi tarha koot lain and adrak lehsa alag koot lain.

* Step 5

Aur gosht and chany ki dal thora thora kar ke kondi main koot lain kondi main kotta howa zaiqa alag hota hai..gosht koot ke iss main hara dhaniya, pissa garam masala, and piyaz chop kar ke achi tarha mix kar lain.
Image step 5 Image step 5

* Step 6

Gosht Achi tarha mix karny ke baad kisi bhi shape main tikkiya bana ke kuch fry kar lain baqi freeze lar lain.
Image step 6 Image step 6

* Step 7

Abb andayko achi tarha phaint ke kabab andy main dip ka ke fry kar lain.shami kabab ready hain.
Image step 7 Image step 7

* Step 8

SERVE..main aksar shami kabab ke sath matter chawal banati hon and raita and salad 🥗 😋 waisy tandoor ki rooti and raitay sy bhi shami kabab ke maza utha saktay hain 😊👍
Image step 8 Image step 8 Image step 8

* Step 9

Note: if there is a photo you can click to enlarge it

10 Pieces Of Expert Nutrition Advice

1. Start Small

2. Fill Your Plate With Beans and Leafy Greens

3. Focus on Adding—Not Subtracting

4. Taste the Rainbow

5. Prioritize Potassium

6. Eat More Plants

7. Focus on Your Immune System

8. Try the Mediterranean Diet

9. Understand the Impact of Food

10. Guard Your Gut

See more
🇻🇳 Việt Nam 🇺🇸 USA

Copyright © 2024 Cookcic