Home Top 5 food Top 5 dishes made from Cocco powder

Top 5 dishes made from Cocco powder

1 2 3 4 5

1 . Chocolate ChocBar Cake

Chocolate ChocBar Cake

Chocolate ChocBar Cake

A yummy dessert you must try without oven and without eggs #motivationalrecipe #ambassador

Ingredient

1-1/2 cup

Flour

1 cup

Sugar

6 tbsp

Oil

1/2 cup

almonds

1/2 cup

Milk

Cooking instructions

* Step 1

Ek bowl mein flour,cocco powder aur baking powder ek sath chaaan kar daal dain.
Image step 1 Image step 1 Image step 1

* Step 2

Ab is mein sugar add kar dain aur whisk sy achi trh mix kar lain.
Image step 2

* Step 3

Ab oil add karein aur sath he vinegar+water ka mixture add kar dain.

* Step 4

Achi tarah hand whisk ki madad sy mix karein yahan tak ke creamy sa texture ban jaye aur koi lumps na rahen.

* Step 5

Ab baking pan mein butter paper la lain aur is mixture ko us mein add kar dain.

* Step 6

Achi tarh tap karein aur pre heated (pre heat for 15 mints) pateelay mein rakh dain.

* Step 7

50-60 mints ke liye bake karein medium heat py.

* Step 8

Ab toothpick insert kar ke dkhen agr wo saaf nkly to iska mtlb ha ke cake ready hai. Cake ko nikal ke thanda kar lain
Image step 8 Image step 8

* Step 9

Double boiler py chocolate ko melt kar lain aur thanda honay ke baad is mein almonds shamil kar dain.

* Step 10

Cake ke ooper milk daal dain aur last mein chocolate aur almond ka mixture spread kar dain.
Image step 10

* Step 11

10-15 mints ke liye fridge mein chilled kar lain
Image step 11

* Step 12

Yummy Choco Bar Chocolate cake is ready to serve.
Image step 12 Image step 12 Image step 12

Note: if there is a photo you can click to enlarge it

2 . Banana Cake

Banana Cake

Banana Cake

Bachay banana khanay mein kafi zid krtay hain. Yeh un bchon ke liye perfect ha.Lekin iska yeh matlb nahi ke baray isko nahi kha sktay😂 Banana ka bohot yummy aur rich taste hota ha is cake mein. First time try kiya tha aur perfect bana❤ #HAPPYBIRTHDAYCOOKPAD

Ingredient

1/2 cup

Oil

1/4 cup

Milk

Cooking instructions

* Step 1

Sab sy pehly cocco powder, baking powder aur plain flour ko chan kar side py rakh lain.
Image step 1

* Step 2

Baking Pan ko oil sy grease kar ke butter paper lagalain.
Image step 2

* Step 3

Ab ek bowl mein bananas lain aur inko achi tarah mash kar lain.
Image step 3

* Step 4

Ab is mein eggs shamil karein aur achi tarah beat kar lain sath sath sugar b add krtay jayen. Isi process mein vanilla essence b add kar dain.
Image step 4

* Step 5

Ab is mein oil aur milk b shamil kar dain aur thora sa beat kar lain ta ke achay sy mix ho jaye.

* Step 6

Ab plain flour wala mixture thora thora kar ke add krtay jayen aur spatula sy hlky hath sy fold krtay jayen.
Image step 6

* Step 7

Ab is batter ko baking pan mein daal dain aur 35-40 minutes ke liye low to medium flame py pateely mein bake kar lain. Pehly 5 mint medium flame rkhen phir slow kar dain.

* Step 8

Time poora honay py toothpick insert kar ke dkhen agr wo clear eye to iska mtlb cake pak chuka ha. Ab isy utar kar thanda kar lain.
Image step 8

* Step 9

Ab isko slices mein cut karein aur tea ke sath enjoy karein.
Image step 9 Image step 9

Note: if there is a photo you can click to enlarge it

3 . Chocolate and Pineapple Cake

Chocolate and Pineapple Cake

Chocolate and Pineapple Cake

This is one of the best cake I have ever made with lots of love for a very special person in my life❤ 2nd Recipe of 7th Week (14th to 20th Jan) #YEARENDCHALLENGE

Ingredient

1 cup

Sugar

Cooking instructions

* Step 1

Sab sy pehly eggs ki sfaidi aur zardi alag alag bowls mein separate kar lain.

* Step 2

Sfaidiyon ko itna beat karein ke wo creamy ho jayen.

* Step 3

Ab zardiyon ko thora sa beat kar ke us mein thori thori kar ke sugar b add kar dain.

* Step 4

Ab zardi wala mixture sfaidi walay mixture mein daal dain aur just 2-3 sec ke liye beater ki madad sy mix kar lain aur sath he vanilla essence b daal dain. Ab beater ko side py kar dain.

* Step 5

Ek bowl mein plain flour aur baking powder ko achy sy mix karein aur inhen chan lain.

* Step 6

Ab thora thora kar ke maidy wala mixture andy walay mixture mein daalti jayen aur hlky hath sy spatula use krty huay fold krti jayen.

* Step 7

Jab achi tarab mix ho jaye to batter ko 2 equal parts mein divide kar dain alag alag bowl mein.

* Step 8

Ek bowl mein cocco powder add kar dain aur isy achi tarah mix kar lain.

* Step 9

Ab baking pan ko grease karein aur us mein butter paper lagalain. Pan ke center mein koi sa b cardboard ya is ksm ki cheez rakh dain partition ke liye. Ab ek side simple mixture aur doosri side cocco powder wala mixture dal dain.Centr sy cardboard nikal lain aur baking pan ko hlka sa tap karein.

* Step 10

Ab ek pre heated daichky mein 40-45 minute ke liye medium to low flame py bake kar lain.

* Step 11

Jab cake ban jaye to nikal ke thanda kar lain.

* Step 12

Cake ko 3 layers mein cut kar lain.

* Step 13

Pehly ek layer ko achi tarah pineapple juice sy soak karein aur ooper wipped cream lgayen.Simple sponge wali side pineapple chunks rkhen jab ke chocolate wali side chocco chips.

* Step 14

Isi tarah doosri layer b tyar kar dain.

* Step 15

Ab last layer rakh kar soak karein aur achy sy frost kar lain.

* Step 16

Ap apni mrzi ke mutabiq decorate kar skty hain.

* Step 17

Mein ny chocolate chips melt kar ke butter paper ke ooper heart shapes bana li then.

* Step 18

Yummy Chocolate+pineapple cake ready hai.
Image step 18 Image step 18 Image step 18

Note: if there is a photo you can click to enlarge it

4 . Chocolate Cake

Chocolate Cake

Chocolate Cake

Special cake i made on my birthday. 2nd Recipe of 2nd week (10th to 16th Dec) #YEARENDCHALLENGE

Ingredient

1/3 cup

Milk

1/4 cup

Oil

Cooking instructions

* Step 1

Sab sy pehly do bowls lain. Ek mein andon ki safadiyan aur doosry mein anday ki zardiyan daal dain.

* Step 2

Andon ki safaidi ko beater sy itna beat karein ke wo creamy ho jaye.

* Step 3

Ab egg yolks ko beat karein aur thora thora kar ke powdered sugar b add krty jayen aur achi tarah mix kar lain.

* Step 4

Ek bowl mein plain flour,cocco powder, baking powder chaan ke daalen aur achi tarah mix kar lain.
Image step 4

* Step 5

Ab is flour ke mixture ko egg's yolk walay mixture mein thora thora kar ke daalty jayen aur fold krtay jayen. Sath mein oil aur milk b add kar dain.

* Step 6

Ab is saray mixture ko anday ki safaidi walay mixture mein daal dain aur halky hath sy fold kar ke achi tarah mix kar lain.
Image step 6

* Step 7

Ab is batter ko butter paper lgay huay cake pan mein daalen aur already preheated daichkay mein 40-45 minutes take bake kar lain.
Image step 7 Image step 7 Image step 7

* Step 8

Jab cake ready ho jaye to isay achi tarah thanda kar lain.

* Step 9

Ab isko 3 layers mein kaat lain.Hr layer ko sugar syrup sy achi tarah soak karein.

* Step 10

Wipping cream ko beater sy achi tarah whip kar lain. Ab ek slice lain is py cream lgayen ooper choco chips daal dain, phr ooper ek aur layer rkhen..isi tarah 3 layers bana lain.
Image step 10

* Step 11

Ab isko apni mrzi sy decorate kar lain. Yummy Chocolate Cake ready hai.
Image step 11

Note: if there is a photo you can click to enlarge it

5 . Muffins

Muffins

Muffins

Soft and Yummy ❤ #teatimemenu

Ingredient

1 cup

Sugar

1/2 tsp

Baking Soda

1

Egg

1/4 cup

Choco Chips

1/4 cup

Cocco Powder

1/2 cup

Oil

Cooking instructions

* Step 1

Ooper btaye gy sb ingredients ready kar lain.
Image step 1

* Step 2

Sab sy pehly pateelay mein koi sa b jally ka stand rakh ke preheat krnay ke liye medium to low flame py rakh dain.
Image step 2

* Step 3

Ab ek bowl mein egg daalen aur isay beater ki madad sy beat karein phir sugar dal kar creamy honay tak achay sy beat kar lain.
Image step 3

* Step 4

Ab is mein vanilla essence add kar dain. aur phir thora thora kar ke oil add krtay jayen aur beat krtay jayen.
Image step 4

* Step 5

Ab ek alag bowl mein Plain flour, baking soda, baking powder aur cocco powder chan ke add kar dain aur achi tarah mix kar lain.
Image step 5

* Step 6

Ab is mixture ko thora thora kar ke egg walay mixture mein daltay jayen. Har batch daaltay wqt sath mein thora thora buttermilk b batches ke sath dalna ha. Halkay hath sy spatula ki madad sy fold krtay jayen.Last mein thoray sy chocochips b add kar dain.
Image step 6

* Step 7

Ab cupcake tray mein liners set karein aur unko is batter sy half fill krtay jayen aur ooper thora thoray chocochips daalty jayen.
Image step 7

* Step 8

25-30 minutes ke liye bake karein medium to low flame py.
Image step 8

* Step 9

Yummy and spongy muffins ready to serve.
Image step 9

Note: if there is a photo you can click to enlarge it

10 Pieces Of Expert Nutrition Advice

1. Start Small

2. Fill Your Plate With Beans and Leafy Greens

3. Focus on Adding—Not Subtracting

4. Taste the Rainbow

5. Prioritize Potassium

6. Eat More Plants

7. Focus on Your Immune System

8. Try the Mediterranean Diet

9. Understand the Impact of Food

10. Guard Your Gut

See more
🇻🇳 Việt Nam 🇺🇸 USA

Copyright © 2024 Cookcic