Home Dish Qeema Samosa

Qeema Samosa

Introduce

Chef :

Sobi Aijaz

Qeema Samosa

Ye recipe maine aik tv channel k chef se sehki thi bohat hi umda recipe hai jese hum bazar k Samosa khate hai phele main aik mistake karti thi k oil daal k Qeema bunati thi tu woh oil drop hota tha folding k waqat main ye bhi sochti thi k bazar jesa taste q nahe ata tu jub maine chef ki recipe dheki tub shamj aya k sub khuch Sahi hai sirf aik oil ki waja se taste kharab horha tu oske bad ab main yehi recipe se bunati aur yaqeen kare bilkul bazar wale samose lugte hai aap log bhi try karye ga. #cpl #zafran

Cooking instructions

* Step 1

Frying pan main Qeema,Lal mirch, sabut dhania, Haldee powder, Namak, Garam Masala,adrak, lehsan sub dal k achi tarha mix kare aur 1/2 cup pani dal k halki ancch pe 20 minutes pakne rahke den.
Image step 1 Image step 1

* Step 2

Jub pani dry hojaie aur Qeema cooked hojaie phir ose main hara dhania, podina, Hari mirch,payaz dal k mix Kar len aur thunda hone de.
Image step 2

* Step 3

Chote bowl main Maida aur pani dal k achi tarha mix Kar len smooth paste bun jaie.

* Step 4

Samosa patti leakr oske pocket buna Jen aur Qeema filling 1 tbsp center main bohat den aur Samosa ki shape buna len aur corner maide k paste se seal Kar len.
Image step 4

* Step 5

Ise tarha baqi Samosa tayar Kar len aur 2 weeks k lye freezer main stor Kar sakte hai.
Image step 5

* Step 6

Karahi main oil garam kare aur darmiyani ancch pe golden brown aur crispy hone tuk deep fry Kar len.
Image step 6

* Step 7

Chutney's aur ketchup k Sath serve kare.

Note: if there is a photo you can click to enlarge it

10 Pieces Of Expert Nutrition Advice

1. Start Small

2. Fill Your Plate With Beans and Leafy Greens

3. Focus on Adding—Not Subtracting

4. Taste the Rainbow

5. Prioritize Potassium

6. Eat More Plants

7. Focus on Your Immune System

8. Try the Mediterranean Diet

9. Understand the Impact of Food

10. Guard Your Gut

See more
🇻🇳 Việt Nam 🇺🇸 USA

Copyright © 2024 Cookcic