Home Dish Tahiri/tehari

Tahiri/tehari

Introduce

Chef :

Saima Sameer Ali

Tahiri/tehari

Uffff ye wo dish hai jisko banatay aur khatay humesha bachpan ki wo haseen dopherien yad ajati hain summers ki k school se ghar akar enter hote hi iski pheli khushbu welcome karti thi...summer vaccations me nani k ghar jao to dopher me nani banati thi...aur to aur gathering b hoti to subki awaz ati k kuch halka phulka banao to bus tehari ban jati...haye aur ab mere bachon ki fav hai haina maa ki tarah chatoray hahaha chalien recipe enjoy karen. #backtobasicseries

Cooking instructions

* Step 1

Chawalon ko dho k bhigo dein.aloo ko wash kar k cheel lein aur big cube me cut kar lein.

* Step 2

Ek pateeli me oil dalien aur pyaz ko golden karen phir zeera aur saboot garam masala add karen k bhonay aur lehsan adrak paste,green chillies aur tematar cut k add kar k bhon lein.

* Step 3

Ab sub masalay add karen aur bhon lein aloo add karen aur pani dal k half done hone tak cook kar lein.

* Step 4

Chawal add karen salt add karen aur paknay dein dum lagatay hue chopped hara dhanya aur podina add kar dein.

* Step 5

Achay se dum ajaye pani dry hojaye to mix karen aur salad,chutines ya raitay k sath serve karen.
Image step 5

Note: if there is a photo you can click to enlarge it

10 Pieces Of Expert Nutrition Advice

1. Start Small

2. Fill Your Plate With Beans and Leafy Greens

3. Focus on Adding—Not Subtracting

4. Taste the Rainbow

5. Prioritize Potassium

6. Eat More Plants

7. Focus on Your Immune System

8. Try the Mediterranean Diet

9. Understand the Impact of Food

10. Guard Your Gut

See more
🇻🇳 Việt Nam 🇺🇸 USA

Copyright © 2024 Cookcic